Rishte

July 3, 2007

iss rishte ko kya naam de hum,
abhi toh kudh ki talaash zaari hai

~Pakya


Mausam aate hai

April 21, 2007

Zindagi Ek Aada, Ek Hunar, Ek Kamaal hai,

Jinko jeena nahi aata, vo mar jaate hai.

Kab se khamosh hoo, saakit hoo, kisi boot ki tarah,

Mausam aate hai mujhe chukar gujar jaate hai!


Sher 1

July 26, 2006

Kehte hain ki ISHQ main neend ud jaati hai
Koi humse bhi ishq kare
Khambhaqat neend bahut aati hai

Kar diya izhare-ishq hamne telephone par,
laakh rupaye ki bat thi,
do rupaye main ho gayee (wah wah)

Pyaar ke jaam ko aise na piyo ke
Adha piya aur adha chod diya
Yaron yeh pyaar hai pyaar
Nahin koi Vim Bar
Jo thoda sa lagaya aur bas ho gaya…….!!

Aur bhi cheezain bahut see lut chuki hain dil ke saath
Ye bataya dooston ne ishq furmane ke baad;
Is liye kamre ki ek ek cheez “check” karta hoon main
“Ek tere aane se pehle, ek tere jaane ke baad”(wah-wah)


Dost Dilbar

March 31, 2006

Hum toh unhe dost hi mana karte the,

Ye toh Khuda ki na-insaafi hai jo vo hamein dilbar kehate hai.

~Pakya 


Hasna Sikha Hai

March 1, 2006

Jo beet gaya uspar kyo aasoo bahaoo,

Meri taqdeer mein kaha haasna likha hai.

Jo kisi ne nahi kiya vo mein karta hoo,

Meine aasoo bahate hasna sikha hai.

~Pakya


Insaan

February 28, 2006

Insaan par hasata hoo kabhi, kabhi rota hoo.

Bair jaan-lewa hai, phir ye ise pirota kyu?

Mulk-walo jaago, dekho kitna gaam hai is jahan mein,

Magar tum mar chuke ho, jinda hote toh ye gaam hota kyu?

Maana tere sir pe musallat hai, saat aasman ki,

Pagle sahaas se kaam le, kamzoor bankar tu rota kyu?

Pyar karega toh pyar payega bhi tu,

Pyar Khuda hai, aur Khuda se phir samajyota kyu?

Insaan tu kitna sunder hai, ye samajha,

Is sundarata par kalank lagane wala tu hota kyu?

~ Pakya


Raat Hote Hee

February 13, 2006

Raat Hote hee in diya ko bujha deta hoo,

Mera dil hi kafi hai, teri yaad mein jalne ke liye.


Mere Desh Mein

February 9, 2006

Mere desh mein aaj, aisi naubat aaye hai.
Mallika apni, aur apni stri lagti paraye hai.
Bacche aaj “Kata Lagne” Se Darte Nahi Hai,
Mummy Pappa bhi inhe, kuch samajha ne ke liye karte nahi hai.
Inse poocho toh kehte hai, Hum Cool Hai!
Pata nahi inhe, ye lagte kitne Fool Hai!
Indian Bollywood ke baarein poocho toh West kehata hai,
Hamein Sab Pata Hai! – Yaha toh Music pe Nudity behata hai.
Americans Herbal drink aur Yoga Apna rahe hai,
Hum Indians Cola aur Nuclear family apne culture mein laa rahe hai.
~ Pakya


Sachaa Khuda?

February 2, 2006

Tere har ek sitam ko humne muskurahat mein chhupa liya,

Humne suna hai e Khuda, Khudaai issi ko kehte hai.

Na kehna mujhse kabhi ab, ki tu mera Khuda hai,

Mere Aasuon pe jo has de, Kya Khuda use kehte hai.

Kaha tha kisi ne mujhe, bandagi sab se uchi hoti hai,

Pata nahi tha, tere ko chaahne wale dard itna sahte hai!

Tu ab na aaya toh kayamat hogi aur Waqt kahega

Ek sachi pukar par bhi Maula soye rahte hain!

~ Pakya


Ye Aasman Hai

January 26, 2006

Kisi ko ho na saka iske kaad (height) ka andaza,

Ye Aasman hai, sar jhukaye baitha hai.